Friday, 17 August 2018

AURAT NAMMAH..!!!!

AURAT  NAMMA !!!

Hamaray maishray mai aurat se kaisa salook krna chahiay, us se kaisay paish anna chaheay ugr kissi se b is barray mai raeay mangi jaeay to wo aik achi khasi dalilay daini shorroo kr de ga hmay ya krna chahiay, ya nhee krna chahiay etc etc...Or jb ussi shkhs ko haqeeqat mai dakha jaeay to aurat k sath us ka rawia is k blkl br-ukkus hotta he Q K 
            Dalail danna jittna assan 
            Hotta ha, us pr ammal
            krna uttna he mushkil..
"Aurat boht he hlkay payt ki hotti he, is se kabhi b raaz ki baat nhee rkhi jatti. Aurat mai sbr-o-brdast blkl nhee hotta. Aurat intahai kmzor hotti he...
 Wo kitni he daar se aurat zaat mai khamio ki aik lmbi list suna rha tha...
Phir Meri janib Dekh Kar bola tum kuch nahi kahogi. Mai ne Bahir Ki. Jaanib nzr durai to boht se Logo ko apney ird gird dekha.
 Ek lambi saans le or kaha, Ye Jo mrd tumhe sr utha kr chaltey nazar a rahay hai in sb k pichey kahi na kahi kisi na kisi Aurat k hlkay payt ka kamaal hai.
 K is nay in k raaz zamaney k samnay  nahi kholay or ya Aaj bhe Izzat daar bn kr zamaney mei Jee rahey hai. 
 Apne wajood par aik niggah dallo to aurat ki Himmat-o-hoslay ko Jaan Jaogey. Jisne tumhe apnay wajood  se wajood bkhsha.
 Jis aik bukhar mai Aadmi pooray ghar ko sar pr utha lata hai. Waisey hazaar Bukhar ko mila lo gai to aik Insaan ko duniya mei lannay waali aadhi takleef, Himmat, Sabar or Brdaasht ke barabar nhe."
            
A aurat..!!! Apnay ap ko kabhi b aik mrd ki nzr se mt dakho. TM TM HO!!
Trust your self..!!
                                ALLAH HAFIZ..

Thursday, 9 August 2018

Log kya kahenge...?

Mari aj ki post un logo k naam jo sirf aik jumlay ki wajah se kamiab nhee ho pattay, kooch new nhee kr pattay, khood k khawabo ko poora krnay se drtay hai or apni salahitoo ka khool k izhar nhee kr pattay wo jumla ha..
                 LOG KYA KAHENGE...?
Ya wo jumla ha jo aik din mn hamari hazaro khawaishat ko marta ha, hamaray andur aik dar sa paida kr datta ha. Dar kooch nia krnay ka dar, apnay passion ko follow krnay ka dar, ya phir kahin pr apnay dill ki baat kahnay ka dar life k kittnay he kimtti lamhay hm sirf is dar ki wajah se kho dattay hai. Zaida tr is dar ki wajah hotti ha...
             Yaar log kia sochenge...?
Problem is baat ki ha k hm sochtay hai k log kia sochenge. Hm nay logo ki batto ko khood se ziada importance danna shoorro kr dia ha. Lakin aesa bilkl b nhee honna chahiay khood ki feelings ki respect jb tk hm khood nhee kray ge to doosro se kaisay krwaeay ge. Issiliay apni feelings ko log kya kahenge sirf iss wajah se apnay andur choopa la kr inhay disrespect na kray.
Q k in so called logo ko ap se koi frk nhee prtta q k inhay to bs  gossipes se frk prtta ha. Jo k in gossipes ka topic aj ap ho to kl koi or ho ga..
            Log kya kahenge..? Pahlay
            din hnsay gai, doosray din
            mazak uraeay  ge or phir
            teesray din bhool jaeay ge.
To phir dosto ap he btao aesay logo k liay khood k dreams ko kurban kr dana bahtar ha...? Ya phir in ki batto ko tawajah diay baghayr apnay kam se kam rkhna..?
Aik baar ap khood pr dhian dai or sochay k ap nay kittnay mooka pr khood ki feelings ko disrespect kia ha, kitni baar wo kia jo log chahtay hai lakin jo ap chahtay ha us ko apnay andur he kahi dabba daitay hai.
              Ya aik jumla k " log kya
              Kahenge" boht se logo ki
              zindgi tabah kr datta ha.
Jb ya log tmhari khooshi nhee brdasht kr sktay. Tm kooch b kr lo ya tmhay hr bayjah tnqeed ka nishana bnatay rhay gai.
Tmhari peeth k pichay tmhari gossipes krtay hai. To phir tm inki batto se itna effect q hottay ho yaar...? Ugr tm kissi cheese mai fail ho jao to ya log tmhay booray se boora feel krwaeay ge...or ugr  tm nay apnay maqasid mn kamiabi hassil kr li to ya log us pr b sawal uthaeay ge k " yaar is nay zaroor koi grbr ki ho ge jo issay itni kamiabi milli."
Tm chahay kooch b kr lo ya log battay krainge he issiliay to kahtay hai "kooch to log kahenge q k logo ka kam he ha kahna"
Akhir ya log hottay kn hai...? Jo hmay aram se jinnay nhee dattay. Ya log or koi nhee blkay hamaray aas paas k he hottay hai.
Or in so called logo mai sb se tope pr attay hai hmaray piaray "Rishtaydar..!" Sirf do teen rishtaydaro ko chor kr bakki to aesay hottay hai k ap bs kissi cheese mai fail hway nhee to ya log pohnch jattay hai apna giaan bantnay oh sorry apna giaan bantnay k bahanay hm pr hnsnay k liay a jattay hai. To phir b hm in logo k liay khood k khawabo k sath compromise krtay hai. Sirf is dar ki wajah se k ya log doosro k samnay hmari boori kirdarkashii na krday.
              Q...? Akhir q...? Logo ko
              Khood se brh kr ahmiat q?
Mtlb in logo k liay in ki fazzool batto se bachnay k liay khood ko frramosh kr do..!!  Or phir jb waqqat guzzar jaeay to phir khood ko koostay rho k kaash us waqt mn nay ya kr lia hotta...!! kaash thora sa khood k liay jee lia hotta...!! Pachtawa pachtawa..
Bs at the end hamaray pass bs yahee rahta ha...
Hamaray haa ziada tr kin batto pr sawal uthaeay jattay hai...
》26 k ho gaeay abhi tk shadi nhee ki
    log kya kahenge..?
》Lrki ho kr jobe kro gee sharam kro
    Log kya kahenge..?
》Science nhee arts prh rhay ho ab
     Tmhara to koi future he nhee ho ga
     Log kya kahenge...?
》Tm lrki ho tmhari intermidiate k bad
     shadi krwa daenge mazeed prho ge
     Ya phir university jao ge to kharab
     ho jao gee. Log kya kahenge..?
                 Log kya sochenge ugr
                 Ya bhi hm sochenge to
                 Phir log kya sochenge..?
Khoda k liay aj he say khood ko badlo apnay liay jeena shorroo kro apnay khawabo ko poora krnay k lia ya tmhari zindgi ha to is ko kaisay guzarna ha ya faisla b tmhara he honna chahiay. Log kia kahtay hai chorro in batto jo un ko kahna hotta ha wo kah he dattay hai to phir tm in ki prwa na kro. Tm to apnay dill ki kro q k aik baar yaa wqqak chlla gia to phir wapis nhee aeay ga to tmharay pas pchtaway k ilawa kooch nhee rhhay ga. Or ya jo pchtaway wali feeling hottie ha na dosto boht bayraham hottie ha boht ziada bayrahm...!!
                 A tiger doesn't lose
                 sleep, over the opnion
                 Of sheep..!!
To dosto ugr pachtanna he ha to q na aik baar wo kr laay jo hm krna chahtay, thora sa khood k lia jee lay kya ptta phir pchtannay ka mokka he na millay..
Or ugr fail ho b jaeay to baad mai is baat ka dookh to nhee ho ga k mn nay apnay dreams ko is so called society ki wajah se kho dia...!!
Aik aham baat jis trha hm nhee chatay k koi hm  pr bawajah ki tnqeed  krray, kissi ki wajah se hm khool kr jee na skkay to issi trha ap b koshish kray k ap b bawajah kissi pr bayjah tnqeed na krray, apnay ap pr ghor kray or dakhay k kahin ap b aesay so called logo mai shamil to nhee jo doosro ki janay unjannay mai zindgi to tabah nhee kr rhay agr plzz aesa ha to khood ko jld badal lai or apnay se jooray loggo ko space dai or unhay un k mutabik  un ki zindgi goozrnay dai ta k ...
           Kissi k dookh ki wajah
           Ap ki zaat na ho....!!
To issiliay dosto khood b khooshi se jeo or doosro ko b khoosh rah kr apni zindgi goozarnay do..
Mjay umeed ha k ap ko mari ya post boht psnd aee ho gee. Ugr psnd aee ha to like zaroor kijiay ga or ap iss k baray mn kia sochtay hai comment kr k lazmi bttaeay ga.
Or maray is page ko follo kijiay ta k mari annay wali mazeed posts ap tk asani say pohnch skay.
                                ALLAH HAFIZ..
    

Saturday, 21 July 2018

My 1st post

Dreams...
What are dreams...? There are different meanings of word "DREAMS" in different human minds.
            Dreams are desires.
Dream word is a magical word...as we feel this word DREAMS our thoughts fills with alote of wishes and desires.
A man can easily see dreams..but there is not easy to fullfill them. It requires alote of struggle and hard work to catch them.
Different human beings have different dreams because every one has different way of thinking and different life styles which gives us different dreams.
As i have also a dream to become an independent girl who want to face and solve her problems by her own. Every dream demands our time and passion about it.
          Your dream is full off your
             emotions, don't let it ruin
            by someone else.
When someone tries to fullfill them he may be fail at once but you should not drop it, do it again and again. It will b hard but there is nothing that will b impossible. We should keep our thinking positive to catch them.
             Success is not a good
             teacher, failure makes
             you humble.

AURAT NAMMAH..!!!!

AURAT  NAMMA !!! Hamaray maishray mai aurat se kaisa salook krna chahiay, us se kaisay paish anna chaheay ugr kissi se b is barray mai ra...